wan agar jaen to le kar jaen kya
vaañ agar jaa.eñ to le kar jaa.eñ kyā
muñh use ham jā ke ye dikhlā.eñ kyā
dil meñ hai baaqī vahī hirs-e-gunāh
phir kiye se apne ham pachhtā.eñ kyā
aao leñ us ko hamīñ jā kar manā
us kī be-parvā.iyoñ par jaa.eñ kyā
dil ko masjid se na mandir se hai uns
aise vahshī ko kahīñ bahlā.eñ kyā
jāntā duniyā ko hai ik khel tū
khel qudrat ke tujhe dikhlā.eñ kyā
umr kī manzil to juuñ tuuñ kaT ga.ī
marhale ab dekhiye pesh aa.eñ kyā
dil ko sab bātoñ kī hai nāseh ḳhabar
samjhe samjhā.e ko bas samjhā.eñ kyā
maan liije shaiḳh jo da.avā kare
ik buzurg-e-dīñ ko ham jhuTlā.eñ kyā
ho chuke 'hālī' ġhazal-ḳhvānī ke din
rāgnī be-vaqt kī ab gaa.eñ kyā
wan agar jaen to le kar jaen kya
munh use hum ja ke ye dikhlaen kya
dil mein hai baqi wahi hirs-e-gunah
phir kiye se apne hum pachhtaen kya
aao len us ko hamin ja kar mana
us ki be-parwaiyon par jaen kya
dil ko masjid se na mandir se hai uns
aise wahshi ko kahin bahlaen kya
jaanta duniya ko hai ek khel tu
khel qudrat ke tujhe dikhlaen kya
umr ki manzil to jun tun kaT gai
marhale ab dekhiye pesh aaen kya
dil ko sab baaton ki hai naseh KHabar
samjhe samjhae ko bas samjhaen kya
man lije shaiKH jo dawa kare
ek buzurg-e-din ko hum jhuTlaen kya
ho chuke 'haali' ghazal-KHwani ke din
ragni be-waqt ki ab gaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.