wan hai ye bad-gumani jawe hijab kyunkar
vaañ hai ye bad-gumānī jaave hijāb kyūñkar
do din ke vāste ho koī ḳharāb kyūñkar
qāsid javāb-e-ḳhat ham likh deñ shitāb kyūñkar
vaañ to javāb māñgā likhiye javāb kyūñkar
ḳhvāb-o-ḳhayāl suunā yaañ ho gayā hai jis bin
hairāñ huuñ maiñ ki us ko aave hai ḳhvāb kyūñkar
us sabza-rañg kī hai garmī-e-husn goyā
chamke hai mahr dekho zer-e-sahāb kyūñkar
kahtī haiñ chitvaneñ yuuñ ban-Than ke jab vo nikle
ab dekhne kī dekheñ lāvegā taab kyūñkar
vo vasl meñ bhī hañs hañs pūchhe hai lo batāo
kal ro.eñgī tumhārī chashm-e-pur-āb kyūñkar
dil jis se lag gayā hai vo chhup rahā hai ham se
dauḌe phireñ na har sū pur-iztirāb kyūñkar
allāh-re bhulāpā muñh dho ke ḳhud vo bole
''sūñgho to ho gayā ye paanī gulāb kyūñkar''
chālākiyoñ ko sun kar us ġhairat-e-parī kī
gar ruk ke kahiye us kī ham laa.eñ taab kyūñkar
to yuuñ lage jatāne ''miyāñ tum to ho divāne
rahne de ham ko nichlā ahd-e-shabāb kyūñkar''
avval bhī ḳhaak hī the āḳhir bhī ḳhaak hoñge
har dam kaheñ na 'jur.at' yā bū-turāb kyūñkar
wan hai ye bad-gumani jawe hijab kyunkar
do din ke waste ho koi KHarab kyunkar
qasid jawab-e-KHat hum likh den shitab kyunkar
wan to jawab manga likhiye jawab kyunkar
KHwab-o-KHayal suna yan ho gaya hai jis bin
hairan hun main ki us ko aawe hai KHwab kyunkar
us sabza-rang ki hai garmi-e-husn goya
chamke hai mahr dekho zer-e-sahab kyunkar
kahti hain chitwanen yun ban-Than ke jab wo nikle
ab dekhne ki dekhen lawega tab kyunkar
wo wasl mein bhi hans hans puchhe hai lo batao
kal roengi tumhaari chashm-e-pur-ab kyunkar
dil jis se lag gaya hai wo chhup raha hai hum se
dauDe phiren na har su pur-iztirab kyunkar
allah-re bhulapa munh dho ke KHud wo bole
sungho to ho gaya ye pani gulab kyunkar
chaalakiyon ko sun kar us ghairat-e-pari ki
gar ruk ke kahiye us ki hum laen tab kyunkar
to yun lage jatane miyan tum to ho diwane
rahne de hum ko nichla ahd-e-shabab kyunkar
awwal bhi KHak hi the aaKHir bhi KHak honge
har dam kahen na 'jurat' ya bu-turab kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.