wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla
vaañ vo to ghar se apne pī kar sharāb niklā
yaañ sharm se araq meñ Duub āftāb niklā
aayā jo vāqiye meñ darpesh ālam-e-marg
ye jāgnā hamārā dekhā to ḳhvāb niklā
dekhā jo os paḌte gulshan meñ ham to āḳhir
gul kā vo rū-e-ḳhandāñ chashm-e-pur-āb niklā
parde hī meñ chalā jā ḳhurshīd to hai behtar
ik hashr hai jo ghar se vo be-hijāb niklā
kuchh der hī lagī na dil ko to tiir lagte
us said-e-nā-tavāñ kā kyā jī shitāb niklā
har harf-e-ġham ne mere majlis ke ta.iiñ rulāyā
goyā ġhubār dil kā paḌhtā kitāb niklā
rū-e-araq-fishāñ ko bas poñchh garm mat ho
us gul meñ kyā rahegā jis kā gulāb niklā
mutlaq na e'tinā kī ahvāl par hamāre
naame kā naame hī meñ sab pech-o-tāb niklā
shān-e-taġhāful apne nau-ḳhat kī kyā likheñ ham
qāsid muā tab us ke muñh se javāb niklā
kis kī nigah kī gardish thī 'mīr' rū-ba-masjid
mehrāb meñ se zāhid mast-o-ḳharāb niklā
wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla
yan sharm se araq mein Dub aaftab nikla
aaya jo waqiye mein darpesh aalam-e-marg
ye jagna hamara dekha to KHwab nikla
dekha jo os paDte gulshan mein hum to aaKHir
gul ka wo ru-e-KHandan chashm-e-pur-ab nikla
parde hi mein chala ja KHurshid to hai behtar
ek hashr hai jo ghar se wo be-hijab nikla
kuchh der hi lagi na dil ko to tir lagte
us said-e-na-tawan ka kya ji shitab nikla
har harf-e-gham ne mere majlis ke tain rulaya
goya ghubar dil ka paDhta kitab nikla
ru-e-araq-fishan ko bas ponchh garm mat ho
us gul mein kya rahega jis ka gulab nikla
mutlaq na e'tina ki ahwal par hamare
name ka name hi mein sab pech-o-tab nikla
shan-e-taghaful apne nau-KHat ki kya likhen hum
qasid mua tab us ke munh se jawab nikla
kis ki nigah ki gardish thi 'mir' ru-ba-masjid
mehrab mein se zahid mast-o-KHarab nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.