waqia sach hi sahi hum kah ke pachhtae bahut
vāqi.a sach hī sahī ham kah ke pachhtā.e bahut
dostoñ ne pattharoñ ke phuul barsā.e bahut
aañkh uThā ke ham ne dekhā hī nahīñ ḳhud ko kabhī
gardish-e-ayyām ne ā.īne dikhlā.e bahut
ek dil hai ranj-o-ġham kī bastiyoñ ke darmiyāñ
ek ghar ke vāste haiñ itne hamsā.e bahut
jaane kaisā thā safar manzil kahāñ par rah ga.ī
ham hudūd-e-zāt se aage nikal aa.e bahut
tauba āġhāz-e-mohabbat kī kashākash kashmakash
ham bhī ghabrā.e bahut aur vo bhī sharmā.e bahut
kyā ajab hai āsmāñ se ḳhuun kī bārish huī
khet jalte hī rahe dariyā to lahrā.e bahut
waqia sach hi sahi hum kah ke pachhtae bahut
doston ne pattharon ke phul barsae bahut
aankh uTha ke hum ne dekha hi nahin KHud ko kabhi
gardish-e-ayyam ne aaine dikhlae bahut
ek dil hai ranj-o-gham ki bastiyon ke darmiyan
ek ghar ke waste hain itne hamsae bahut
jaane kaisa tha safar manzil kahan par rah gai
hum hudud-e-zat se aage nikal aae bahut
tauba aaghaz-e-mohabbat ki kashakash kashmakash
hum bhi ghabrae bahut aur wo bhi sharmae bahut
kya ajab hai aasman se KHun ki barish hui
khet jalte hi rahe dariya to lahrae bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.