waqif hain hum ki hazrat-e-gham aise shaKHs hain
waqif hain hum ki hazrat-e-gham aise shaKHs hain
Bahadur Shah Zafar
MORE BYBahadur Shah Zafar
vāqif haiñ ham ki hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñ
aur phir ham un ke yaar haiñ ham aise shaḳhs haiñ
dīvāne tere dasht meñ rakkheñge jab qadam
majnūñ bhī legā un ke qadam aise shaḳhs haiñ
jin pe hoñ aise zulm o sitam ham nahīñ vo log
hoñ roz balki lutf o karam aise shaḳhs haiñ
yuuñ to bahut haiñ aur bhī ḳhūbān-e-dil-fareb
par jaise pur-fan aap haiñ kam aise shaḳhs haiñ
kyā kyā jafā-kashoñ pe haiñ un dilbaroñ ke zulm
aisoñ ke sahte aise sitam aise shaḳhs haiñ
diiñ kyā hai balki dījiye īmān bhī unheñ
zāhid ye but ḳhudā kī qasam aise shaḳhs haiñ
āzurda huuñ adū ke jo kahne pe ai 'zafar'
ne aise shaḳhs vo haiñ na ham aise shaḳhs haiñ
waqif hain hum ki hazrat-e-gham aise shaKHs hain
aur phir hum un ke yar hain hum aise shaKHs hain
diwane tere dasht mein rakkhenge jab qadam
majnun bhi lega un ke qadam aise shaKHs hain
jin pe hon aise zulm o sitam hum nahin wo log
hon roz balki lutf o karam aise shaKHs hain
yun to bahut hain aur bhi KHuban-e-dil-fareb
par jaise pur-fan aap hain kam aise shaKHs hain
kya kya jafa-kashon pe hain un dilbaron ke zulm
aison ke sahte aise sitam aise shaKHs hain
din kya hai balki dijiye iman bhi unhen
zahid ye but KHuda ki qasam aise shaKHs hain
aazurda hun adu ke jo kahne pe ai 'zafar'
ne aise shaKHs wo hain na hum aise shaKHs hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.