wafa anjam hoti ja rahi hai
vafā anjām hotī jā rahī hai
mohabbat ḳhaam hotī jā rahī hai
zarā chehre se zulfoñ ko haTā lo
ye kaisī shaam hotī jā rahī hai
qayāmat hai mohabbat rafta-rafta
ġham-e-ayyām hotī jā rahī hai
sunā hai ab tire lutf-o-karam kī
hikāyat aam hotī jā rahī hai
dikhāne ko zarā āñkheñ badal lo
vafā ilzām hotī jā rahī hai
mire jazb-e-vafā se ḳhāmushī bhī
tirā paiġhām hotī jā rahī hai
koī karvaT badal ai dard-e-hastī
tamannā daam hotī jā rahī hai
mohabbat 'saif' ik lutf-e-nihāñ thī
magar badnām hotī jā rahī hai
wafa anjam hoti ja rahi hai
mohabbat KHam hoti ja rahi hai
zara chehre se zulfon ko haTa lo
ye kaisi sham hoti ja rahi hai
qayamat hai mohabbat rafta-rafta
gham-e-ayyam hoti ja rahi hai
suna hai ab tere lutf-o-karam ki
hikayat aam hoti ja rahi hai
dikhane ko zara aankhen badal lo
wafa ilzam hoti ja rahi hai
mere jazb-e-wafa se KHamushi bhi
tera paigham hoti ja rahi hai
koi karwaT badal ai dard-e-hasti
tamanna dam hoti ja rahi hai
mohabbat 'saif' ek lutf-e-nihan thi
magar badnam hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.