wafa-dari ghanimat ho gai kya
vafā-dārī ġhanīmat ho ga.ī kyā
mohabbat bhī muravvat ho ga.ī kyā
adālat farsh-e-maqtal dho rahī hai
usūloñ kī shahādat ho ga.ī kyā
zarā īmān-dārī se batāo
hameñ tum se mohabbat ho ga.ī kyā
farishtoñ jaisī sūrat kyuuñ banā lī
koī ham se sharārat ho ga.ī kyā
kitābat rokne kā kyā sabab hai
kahānī kī ishā.at ho ga.ī kyā
mazār-e-pīr se āvāz aa.ī
faqīrī bādshāhat ho ga.ī kyā
ghaTā.eñ pūchhne ko aa rahī haiñ
hamārī chhat kī hālat ho ga.ī kyā
ye kaisā jashn hai us kī galī meñ
koī bandish ijāzat ho ga.ī kyā
wafa-dari ghanimat ho gai kya
mohabbat bhi murawwat ho gai kya
adalat farsh-e-maqtal dho rahi hai
usulon ki shahadat ho gai kya
zara iman-dari se batao
hamein tum se mohabbat ho gai kya
farishton jaisi surat kyun bana li
koi hum se shararat ho gai kya
kitabat rokne ka kya sabab hai
kahani ki ishaat ho gai kya
mazar-e-pir se aawaz aai
faqiri baadshahat ho gai kya
ghaTaen puchhne ko aa rahi hain
hamari chhat ki haalat ho gai kya
ye kaisa jashn hai us ki gali mein
koi bandish ijazat ho gai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.