wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main
vafā kā banda huuñ ulfat kā pāsdār huuñ maiñ
Harīf-e-qamrī-o-parvāna-e-hazār huuñ maiñ
judā judā nazar aatī hai jalva-e-tāsīr
qarār ho gayā muusā ko be-qarār huuñ maiñ
ḳhumār jis se na vāqif ho vo surūr haiñ aap
surūr jis se na āgāh ho vo ḳhumār huuñ maiñ
samā gayā hai ye saudā 'ajīb sar meñ mire
karam kā ahl-e-sitam se umīd-vār huuñ maiñ
'evaz davā ke du'ā de gayā tabīb mujhe
kahā jo maiñ ne ġham-e-hijr se do-chār huuñ maiñ
shabāb kar diyā merā tabāh ulfat ne
ḳhizāñ ke haath kī boī huī bahār huuñ maiñ
qarār-dād-e-garebāñ huī ye dāman se
ki purze purze agar ho to taar taar huuñ maiñ
mire mazār ko samjhā na jaa.e ek mazār
hazār hasrat-o-armāñ kā ḳhud mazār huuñ maiñ
'zahīr' o 'arshad' o 'ġhālib' kā huuñ jigar-gosha
janāb-e-'dāġh' kā tilmīz o yādgār huuñ maiñ
amiir karte haiñ 'izzat mirī huuñ vo 'sā.il'
guloñ ke pahlū meñ rahtā huuñ aisā ḳhaar huuñ maiñ
wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main
Harif-e-qamri-o-parwana-e-hazar hun main
juda juda nazar aati hai jalwa-e-tasir
qarar ho gaya musa ko be-qarar hun main
KHumar jis se na waqif ho wo surur hain aap
surur jis se na aagah ho wo KHumar hun main
sama gaya hai ye sauda 'ajib sar mein mere
karam ka ahl-e-sitam se umid-war hun main
'ewaz dawa ke du'a de gaya tabib mujhe
kaha jo main ne gham-e-hijr se do-chaar hun main
shabab kar diya mera tabah ulfat ne
KHizan ke hath ki boi hui bahaar hun main
qarar-dad-e-gareban hui ye daman se
ki purze purze agar ho to tar tar hun main
mere mazar ko samjha na jae ek mazar
hazar hasrat-o-arman ka KHud mazar hun main
'zahir' o 'arshad' o 'ghaalib' ka hun jigar-gosha
janab-e-'dagh' ka tilmiz o yaadgar hun main
amir karte hain 'izzat meri hun wo 'sail'
gulon ke pahlu mein rahta hun aisa KHar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.