wafa ka ye rishta sada hi rahega
vafā kā ye rishta sadā hī rahegā
kisī ke bhī roke se ye kab rukegā
jo chāho zamāne ko apnā banānā
vafā kī hī rāhoñ pe chalnā paḌegā
vo miltā thā mujh se to kahtā thā aksar
mujhe chhoḌ ke pur-sukūñ kab rahegā
ye qudrat kā dastūr hai sīdhā-sāda
uchhāloge pathar to sar pe giregā
fareboñ pe tere kiyā hai kinārā
zamāna mujhe kyoñ sitamgar kahegā
use yaad aa.egī ulfat hamārī
akele meñ baiThā vo royā karegā
'shagufta' kabhī bhī na tujh se milegī
tirā naam dil meñ mire hī rahegā
wafa ka ye rishta sada hi rahega
kisi ke bhi roke se ye kab rukega
jo chaho zamane ko apna banana
wafa ki hi rahon pe chalna paDega
wo milta tha mujh se to kahta tha aksar
mujhe chhoD ke pur-sukun kab rahega
ye qudrat ka dastur hai sidha-sada
uchhaaloge pathar to sar pe girega
farebon pe tere kiya hai kinara
zamana mujhe kyon sitamgar kahega
use yaad aaegi ulfat hamari
akele mein baiTha wo roya karega
'shagufta' kabhi bhi na tujh se milegi
tera nam dil mein mere hi rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.