wafa kar ke us ka sila chahta hun
wafa kar ke us ka sila chahta hun
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
MORE BYKhwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
vafā kar ke us kā silā chāhtā huuñ
baḌā nā-sazā huuñ sazā chāhtā huuñ
butoñ ko barā.e ḳhudā chāhtā huuñ
sar-e-ḳham dil-e-mubtalā chāhtā huuñ
rahā umr bhar chup maiñ yuuñ un ke aage
ki jaise kuchh un se kahā chāhtā huuñ
satā.e bhī koī to paa.e duā.eñ
gadā huuñ maiñ sab kā bhalā chāhtā huuñ
bhulātā huuñ phir bhī vo yaad aa rahe haiñ
vahī chāhte haiñ maiñ kyā chāhtā huuñ
wafa kar ke us ka sila chahta hun
baDa na-saza hun saza chahta hun
buton ko barae KHuda chahta hun
sar-e-KHam dil-e-mubtala chahta hun
raha umr bhar chup main yun un ke aage
ki jaise kuchh un se kaha chahta hun
satae bhi koi to pae duaen
gada hun main sab ka bhala chahta hun
bhulata hun phir bhi wo yaad aa rahe hain
wahi chahte hain main kya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.