wafa karna sitam sahna nahin hai
vafā karnā sitam sahnā nahīñ hai
mujhe ab aur kuchh kahnā nahīñ hai
bhalā maiñ kyoñ tumhāre ḳhvāb dekhūñ
tumhāre saath jab rahnā nahīñ hai
mirī āñkheñ haqīqat āshnā haiñ
ḳhayālī mauj meñ bahnā nahīñ hai
shikāyat kyoñ tujhe hai dūsroñ se
sharāfat jab tirā gahnā nahīñ hai
nahīñ ho jis meñ raḳhshāñ us kī ḳhushbū
kabhī vo pairahan pahnā nahīñ hai
wafa karna sitam sahna nahin hai
mujhe ab aur kuchh kahna nahin hai
bhala main kyon tumhaare KHwab dekhun
tumhaare sath jab rahna nahin hai
meri aankhen haqiqat aashna hain
KHayali mauj mein bahna nahin hai
shikayat kyon tujhe hai dusron se
sharafat jab tera gahna nahin hai
nahin ho jis mein raKHshan us ki KHushbu
kabhi wo pairahan pahna nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.