wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
vafā ke baab meñ kār-e-suḳhan tamām huā
chalo ki rishta-e-rūh-o-badan tamām huā
kitāb-e-hijr-e-musalsal khulī hamāre liye
ki bāb-e-vasl sar-e-anjuman tamām huā
ajiib dhuup sar-e-sehn-e-tan utar aa.ī
mizāj tursh huā bāñkpan tamām huā
basāratoñ ko sameTo bujhā lo āñkhoñ ko
bayān-e-karbal-e-sarv-o-saman tamām huā
rafū-garī kā hunar siikh to liyā 'azmī'
numūd-e-fan meñ magar pairahan tamām huā
wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
chalo ki rishta-e-ruh-o-badan tamam hua
kitab-e-hijr-e-musalsal khuli hamare liye
ki bab-e-wasl sar-e-anjuman tamam hua
ajib dhup sar-e-sehn-e-tan utar aai
mizaj tursh hua bankpan tamam hua
basaraton ko sameTo bujha lo aankhon ko
bayan-e-karbal-e-sarw-o-saman tamam hua
rafu-gari ka hunar sikh to liya 'azmi'
numud-e-fan mein magar pairahan tamam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.