wafa ke barabar jafa chahta hun
vafā ke barābar jafā chāhtā huuñ
tirā hausla dekhnā chāhtā huuñ
har ik dil meñ ho intihā kī mohabbat
maiñ is daur kī ibtidā chāhtā huuñ
palak kī jhapak bhī gavārā nahīñ hai
barābar tujhe dekhnā chāhtā huuñ
har ik saañs zanjīr lagne lagī hai
maiñ ye silsila toḌnā chāhtā huuñ
zamāne ke ġham yaad aane lage haiñ
tirā ġham tujhe sauñpnā chāhtā huuñ
koī be-muravvat gale mil rahā hai
tujhe jazb-e-dil pūjnā chāhtā huuñ
'jigar' phuul sho.ale ugalne lage haiñ
gulistāñ ko ab chhoḌnā chāhtā huuñ
wafa ke barabar jafa chahta hun
tera hausla dekhna chahta hun
har ek dil mein ho intiha ki mohabbat
main is daur ki ibtida chahta hun
palak ki jhapak bhi gawara nahin hai
barabar tujhe dekhna chahta hun
har ek sans zanjir lagne lagi hai
main ye silsila toDna chahta hun
zamane ke gham yaad aane lage hain
tera gham tujhe saunpna chahta hun
koi be-murawwat gale mil raha hai
tujhe jazb-e-dil pujna chahta hun
'jigar' phul shoale ugalne lage hain
gulistan ko ab chhoDna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.