wafa ke raaz se parda nahin uThaungi
vafā ke raaz se parda nahīñ uThā.ūñgī
maiñ dil ke zaḳhm tah-e-dil se hī chhupā.ūñgī
agar tumhārī nigāhoñ meñ ye khaTaktā hai
suno maiñ aaj se kājal nahīñ lagā.uñgī
udaas dil ho to gulshan bhī aah bhartā hai
ye sach hai rote hue dil se muskurā.ūñgī
jo mujh pe guzrī hai ashkoñ se vo ibārat hai
jo naqsh dil meñ hai kaise use miTā.ūñgī
har ek baat ko sun kar jo an-sunī kar de
use maiñ dard kī rūdād kyā sunā.ūñgī
kabhī to aa.e vo ai zindagī mirā ban kar
qasam ḳhudā kī maiñ rāhoñ ko bhī sajā.ūñgī
jo mere dil kī sadā hī na sun sakā to phir
use maiñ nauha-e-dil kis tarah sunā.ūñgī
tumhārā saath muqaddar meñ gar nahīñ hai likhā
to yaad ban ke maiñ dil meñ kahīñ samā.ūñgī
jo ḳhvāb dekhe haiñ dil un se kyuuñ ulajhtā hai
maiñ ab ye falsafa shāyad samajh na pā.ūñgī
vo jab mile to ye us se zarūr kah denā
vo is baras bhī na aayā to mar hī jā.ūñgī
yaqīñ hai rab pe 'sabīla' vo merī sun legā
maiñ ho ke bā-vazū hāthoñ ko jab uThā.ūñgī
wafa ke raaz se parda nahin uThaungi
main dil ke zaKHm tah-e-dil se hi chhupaungi
agar tumhaari nigahon mein ye khaTakta hai
suno main aaj se kajal nahin lagaungi
udas dil ho to gulshan bhi aah bharta hai
ye sach hai rote hue dil se muskuraungi
jo mujh pe guzri hai ashkon se wo ibarat hai
jo naqsh dil mein hai kaise use miTaungi
har ek baat ko sun kar jo an-suni kar de
use main dard ki rudad kya sunaungi
kabhi to aae wo ai zindagi mera ban kar
qasam KHuda ki main rahon ko bhi sajaungi
jo mere dil ki sada hi na sun saka to phir
use main nauha-e-dil kis tarah sunaungi
tumhaara sath muqaddar mein gar nahin hai likha
to yaad ban ke main dil mein kahin samaungi
jo KHwab dekhe hain dil un se kyun ulajhta hai
main ab ye falsafa shayad samajh na paungi
wo jab mile to ye us se zarur kah dena
wo is baras bhi na aaya to mar hi jaungi
yaqin hai rab pe 'sabila' wo meri sun lega
main ho ke ba-wazu hathon ko jab uThaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.