wafa KHulus mohabbat ibaadaten uski
vafā ḳhulūs mohabbat ibādateñ us kī
bhulā na pā.ūñgā yaaro mohabbateñ us kī
qadam qadam pe mujhe jis ne hausla baḳhshā
charāġh-e-rāh banī haiñ nasīhateñ us kī
har ek moḌ pe us ne mujhe sambhālā hai
maiñ ḳhush-nasīb ki paa.eñ rifāqateñ us kī
hai kuchh to baat yaqīnan ki log kahte haiñ
yūñhī nahīñ haiñ zamāne meñ shohrateñ us kī
wafa KHulus mohabbat ibaadaten us ki
bhula na paunga yaro mohabbaten us ki
qadam qadam pe mujhe jis ne hausla baKHsha
charagh-e-rah bani hain nasihaten us ki
har ek moD pe us ne mujhe sambhaala hai
main KHush-nasib ki paen rifaqaten us ki
hai kuchh to baat yaqinan ki log kahte hain
yunhi nahin hain zamane mein shohraten us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.