wafa ki aag mein pahle pighal ke dekho to
vafā kī aag meñ pahle pighal ke dekho to
hai ishq kyā ye samajh loge jal ke dekho to
vo sang-e-rāh nahīñ koh-e-nūr hiirā hai
nazar ke zāviye apnī badal ke dekho to
sukūn-e-dil kā ḳhazāna zarūr pāoge
havas ke naag ko pahle kuchal ke dekho to
har ek aañkh kā aañsū tumhārā apnā hai
hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekho to
tavangaroñ kī ziyāfat ko jaan jāoge
zarā ye qīmtī kapḌe badal ke dekho to
hai haq kā rāsta kyā ḳhud-baḳhud samajh loge
dahaktī aag pe do gaam chal ke dekho to
ḳhud apnī asl haqīqat ko jaan loge 'vafā'
tum ā.īne ko kabhī aañkh mal ke dekho to
wafa ki aag mein pahle pighal ke dekho to
hai ishq kya ye samajh loge jal ke dekho to
wo sang-e-rah nahin koh-e-nur hira hai
nazar ke zawiye apni badal ke dekho to
sukun-e-dil ka KHazana zarur paoge
hawas ke nag ko pahle kuchal ke dekho to
har ek aankh ka aansu tumhaara apna hai
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekho to
tawangaron ki ziyafat ko jaan jaoge
zara ye qimti kapDe badal ke dekho to
hai haq ka rasta kya KHud-baKHud samajh loge
dahakti aag pe do gam chal ke dekho to
KHud apni asl haqiqat ko jaan loge 'wafa'
tum aaine ko kabhi aankh mal ke dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.