wafa ki aas mein dil de ke pachhtaya nahin karte
vafā kī aas meñ dil de ke pachhtāyā nahīñ karte
ye naḳhl-e-ārzū hai is meñ phal aayā nahīñ karte
ḳhayāloñ meñ jab aate haiñ to pahroñ jā nahīñ paate
ham ab be-vasl tanhā.ī bhī ghabrāyā nahīñ karte
hamārī niiñd se kyā vāsta hai un kī nīñdoñ ko
sunā hai vo bhī ab ārām farmāyā nahīñ karte
zarā se kyā payām aatā hai dushman jal ke marte haiñ
ḳhudā kā shukr hai vo ḳhud idhar aayā nahīñ karte
na tum aao na niiñd aa.e na hī kam-baḳht maut aa.e
ye kaisī kashmakash hai yuuñ bhī taḌpāyā nahīñ karte
hamārī tishnagī-e-dīd ik din rañg lā.egī
shahīdoñ kī qasam pyāsoñ ko tarsāyā nahīñ karte
hamāre gird jo phirte the ḳhush-hālī ke aalam meñ
shikāyat kyā ki 'tāj' ab bhuul kar aayā nahīñ karte
wafa ki aas mein dil de ke pachhtaya nahin karte
ye naKHl-e-arzu hai is mein phal aaya nahin karte
KHayalon mein jab aate hain to pahron ja nahin pate
hum ab be-wasl tanhai bhi ghabraya nahin karte
hamari nind se kya wasta hai un ki nindon ko
suna hai wo bhi ab aaram farmaya nahin karte
zara se kya payam aata hai dushman jal ke marte hain
KHuda ka shukr hai wo KHud idhar aaya nahin karte
na tum aao na nind aae na hi kam-baKHt maut aae
ye kaisi kashmakash hai yun bhi taDpaya nahin karte
hamari tishnagi-e-did ek din rang laegi
shahidon ki qasam pyason ko tarsaya nahin karte
hamare gird jo phirte the KHush-haali ke aalam mein
shikayat kya ki 'taj' ab bhul kar aaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.