wafa ki KHu pas-e-jah-o-jalal rah gai thi
vafā kī ḳhū pas-e-jāh-o-jalāl rah ga.ī thī
anā ke ḳhol meñ vo be-misāl rah ga.ī thī
khaTak rahī hai na jaane kyoñ aaj bhī dil meñ
jo ek baat darūn-e-savāl rah ga.ī thī
milā jo mauqa to ham fā.eda uThā.eñge
ki pichhlī baar adhūrī dhamāl rah ga.ī thī
janāb-e-qais bhī marne meñ haq-ba-jānib the
ki shahr bhar meñ vahī ḳhush-ḳhisāl rah ga.ī thī
samay kī gard ne ojhal kiye sabhī qisse
magar jo ek thī chāhat kamāl rah ga.ī thī
ġhalat kahā thā ki rāhat milī mohabbat se
ye zindagī to thakan se niDhāl rah ga.ī thī
ye log aag lagāne meñ itne māhir the
musālahat to pas-e-ishti.āl rah ga.ī thī
maiñ oḌhe phirtā huuñ ab june ke mahīne meñ
nishānī us kī jo ik zard shaal rah ga.ī thī
vo misl-e-dard paḌā rah gayā thā siine meñ
so us kī yaad bhī ban ke malāl rah ga.ī thī
kabhī na sochā 'umar' us ko Thes pahuñchegī
use mirī mujhe fikr-e-ayāl rah ga.ī thī
wafa ki KHu pas-e-jah-o-jalal rah gai thi
ana ke KHol mein wo be-misal rah gai thi
khaTak rahi hai na jaane kyon aaj bhi dil mein
jo ek baat darun-e-sawal rah gai thi
mila jo mauqa to hum faeda uThaenge
ki pichhli bar adhuri dhamal rah gai thi
janab-e-qais bhi marne mein haq-ba-jaanib the
ki shahr bhar mein wahi KHush-KHisal rah gai thi
samay ki gard ne ojhal kiye sabhi qisse
magar jo ek thi chahat kamal rah gai thi
ghalat kaha tha ki rahat mili mohabbat se
ye zindagi to thakan se niDhaal rah gai thi
ye log aag lagane mein itne mahir the
musalahat to pas-e-ishtial rah gai thi
main oDhe phirta hun ab june ke mahine mein
nishani us ki jo ek zard shaal rah gai thi
wo misl-e-dard paDa rah gaya tha sine mein
so us ki yaad bhi ban ke malal rah gai thi
kabhi na socha 'umar' us ko Thes pahunchegi
use meri mujhe fikr-e-ayal rah gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.