wafa ki rah mein har marhala aasan nahin hota
vafā kī raah meñ har marhala āsāñ nahīñ hotā
kisī ko bhuul jaanā dard kā darmāñ nahīñ hotā
pazīrā.ī kahāñ hotī hai ab shā.ista jazboñ kī
har aisā hādsa minnat-kash-e-ehsāñ nahīñ hotā
Thikāna ek hī rahtā hai kab āzād bandoñ kā
kabhī bhī sarfaroshoñ kā makāñ zindāñ nahīñ hotā
chhupā hai is tarah vo apne hī jalvoñ ke parde meñ
ruḳh-e-pur-nūr uryāñ ho ke bhī uryāñ nahīñ hotā
vo apnā ghar basā legā zarā mohlat use denā
koī bhī be-sahārā mustaqil mehmāñ nahīñ hotā
ye maanā hādsa hai zindagī se pyaar karnā bhī
tumhārī tarah se kyoñ dil mirā shādāñ nahīñ hotā
salīqa aap ne sikhlāyā us ko jiine marne kā
'munīr' apnī tabī.at par kabhī nāzāñ nahīñ hotā
wafa ki rah mein har marhala aasan nahin hota
kisi ko bhul jaana dard ka darman nahin hota
pazirai kahan hoti hai ab shaista jazbon ki
har aisa hadsa minnat-kash-e-ehsan nahin hota
Thikana ek hi rahta hai kab aazad bandon ka
kabhi bhi sarfaroshon ka makan zindan nahin hota
chhupa hai is tarah wo apne hi jalwon ke parde mein
ruKH-e-pur-nur uryan ho ke bhi uryan nahin hota
wo apna ghar basa lega zara mohlat use dena
koi bhi be-sahaara mustaqil mehman nahin hota
ye mana hadsa hai zindagi se pyar karna bhi
tumhaari tarah se kyon dil mera shadan nahin hota
saliqa aap ne sikhlaya us ko jine marne ka
'munir' apni tabiat par kabhi nazan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.