wafa ko jagmagana chahte hain
vafā ko jagmagānā chāhte haiñ
ham apnā dil jalānā chāhte haiñ
hameñ tum apne dāman meñ chhupā lo
musāfir haiñ Thikāna chāhte haiñ
purāne zaḳhm bhar jaane se pahle
na.ī ik choT khānā chāhte haiñ
tumhārī yaad ke sayyāl motī
merī palkoñ tak aanā chāhte haiñ
dar-e-dil par khaḌe haiñ ġham hazāroñ
ye panchhī āshiyāna chāhte haiñ
ye āñkheñ aur bhar aatī haiñ 'bismil'
agar ham muskurānā chāhte haiñ
wafa ko jagmagana chahte hain
hum apna dil jalana chahte hain
hamein tum apne daman mein chhupa lo
musafir hain Thikana chahte hain
purane zaKHm bhar jaane se pahle
nai ek choT khana chahte hain
tumhaari yaad ke sayyal moti
meri palkon tak aana chahte hain
dar-e-dil par khaDe hain gham hazaron
ye panchhi aashiyana chahte hain
ye aankhen aur bhar aati hain 'bismil'
agar hum muskurana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.