Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ne jhum ke jab tere git gae hain

Khurshid Ahmad Jami

wafa ne jhum ke jab tere git gae hain

Khurshid Ahmad Jami

MORE BYKhurshid Ahmad Jami

    vafā ne jhuum ke jab tere giit gaa.e haiñ

    qadam ufuq pe andheroñ ke laḌkhaḌā.e haiñ

    tire qarīb pahuñch kar bhī kam nahīñ hote

    ġham-e-hayāt ne jo fāsle baḌhā.e haiñ

    bahut tavīl sahī rāh-e-justujū lekin

    bahut hasīn tire gesuoñ ke saa.e haiñ

    tirī nigāh mudāvā na ban sakī jin

    tirī talāsh meñ aise bhī zaḳhm khaa.e haiñ

    paḌā hai 'aks jo ruḳhsār-e-shola-e-mai

    to ā.īne tirī yādoñ ke jagmagā.e haiñ

    musāfirān-e-shab-e-ġham raah meñ 'jāmī'

    na.e charāġh mirī fikr ne jalā.e haiñ

    wafa ne jhum ke jab tere git gae hain

    qadam ufuq pe andheron ke laDkhaDae hain

    tere qarib pahunch kar bhi kam nahin hote

    gham-e-hayat ne jo fasle baDhae hain

    bahut tawil sahi rah-e-justuju lekin

    bahut hasin tere gesuon ke sae hain

    teri nigah mudawa na ban saki jin ka

    teri talash mein aise bhi zaKHm khae hain

    paDa hai 'aks jo ruKHsar-e-shola-e-mai ka

    to aaine teri yaadon ke jagmagae hain

    musafiran-e-shab-e-gham ki rah mein 'jami'

    nae charagh meri fikr ne jalae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now