wafa-parast jahan-e-wafa ko le Dube
vafā-parast jahān-e-vafā ko le Duube
ajiib baat hai bande ḳhudā ko le Duube
ye kaalī kaalī ghaTā jo barasne vaalī hai
maza to jab hai kisī pārsā ko le Duube
safīne ye to nahīñ haiñ jo haiñ kināroñ par
safīne vo the jo mauj-e-balā ko le Duube
tamām ahl-e-nazāra kī laaj rakh legī
vo ik nazar jo kisī kī adā ko le Duube
ye kaise kaise riyā-kār haiñ zamāne meñ
sazā ke naam se chauñke jazā ko le Duube
bajā hai shān-e-karīmī ye sab ġhurūr magar
yahī ġhurūr to ahl-e-ḳhatā ko le Duube
hamesha yaad hamīñ tak rahe hamāre ġham
vo dost kyā jo kisī ham-navā ko le Duube
wafa-parast jahan-e-wafa ko le Dube
ajib baat hai bande KHuda ko le Dube
ye kali kali ghaTa jo barasne wali hai
maza to jab hai kisi parsa ko le Dube
safine ye to nahin hain jo hain kinaron par
safine wo the jo mauj-e-bala ko le Dube
tamam ahl-e-nazara ki laj rakh legi
wo ek nazar jo kisi ki ada ko le Dube
ye kaise kaise riya-kar hain zamane mein
saza ke nam se chaunke jaza ko le Dube
baja hai shan-e-karimi ye sab ghurur magar
yahi ghurur to ahl-e-KHata ko le Dube
hamesha yaad hamin tak rahe hamare gham
wo dost kya jo kisi ham-nawa ko le Dube
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.