wafa-paraston ke munh se zaban khinchta hai
vafā-parastoñ ke muñh se zabān khīñchtā hai
zarā zarā pe sitamgar kamān khīñchtā hai
maiñ chhoḌ kar chalā aayā huuñ shahr meñ jis ko
mujhe vo gaañv kā kachchā makān khīñchtā hai
ye aur baat vahī fāsla hai sadiyoñ se
zamīñ ko apnī taraf āsmān khīñchtā hai
mirī nazar meñ bahādur vahī sipāhī hai
ḳhilāf-e-zulm jo apnī kamān khīñchtā hai
tamāsha dekh ke mehmān hai ye hairat meñ
jo maal tar hai use mezbān khīñchtā hai
kabhī kabhī tirī furqat meñ lagtā hai aisā
badan se jaise koī merī jaan khīñchtā hai
adab kī ilm kī bāteñ use pasand nahīñ
'kamāl' kis liye duniyā kā dhyān khīñchtā hai
wafa-paraston ke munh se zaban khinchta hai
zara zara pe sitamgar kaman khinchta hai
main chhoD kar chala aaya hun shahr mein jis ko
mujhe wo ganw ka kachcha makan khinchta hai
ye aur baat wahi fasla hai sadiyon se
zamin ko apni taraf aasman khinchta hai
meri nazar mein bahadur wahi sipahi hai
KHilaf-e-zulm jo apni kaman khinchta hai
tamasha dekh ke mehman hai ye hairat mein
jo mal tar hai use mezban khinchta hai
kabhi kabhi teri furqat mein lagta hai aisa
badan se jaise koi meri jaan khinchta hai
adab ki ilm ki baaten use pasand nahin
'kamal' kis liye duniya ka dhyan khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.