wafa sarisht hai meri kaha na karta tha
vafā sarisht hai merī kahā na kartā thā
ye faisla mire haq meñ huā na kartā thā
bahut dinoñ se mire ghar pe roz aatā hai
bulāte rahte the jis ko sunā na kartā thā
yaqīñ nahīñ hai ki majbūr ho gayā vo bhī
ḳhudā-parast thā aisā duā na kartā thā
hazār āñkhoñ pe ḳhvāboñ ne dastakeñ dī thiiñ
magar vo haal thā dil kā khulā na kartā thā
bahut kamāl the us meñ aur ek ye bhī thā
ki ik maqām se aage vafā na kartā thā
wafa sarisht hai meri kaha na karta tha
ye faisla mere haq mein hua na karta tha
bahut dinon se mere ghar pe roz aata hai
bulate rahte the jis ko suna na karta tha
yaqin nahin hai ki majbur ho gaya wo bhi
KHuda-parast tha aisa dua na karta tha
hazar aankhon pe KHwabon ne dastaken di thin
magar wo haal tha dil ka khula na karta tha
bahut kamal the us mein aur ek ye bhi tha
ki ek maqam se aage wafa na karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.