wafadar ho ya jafa-kar tum ho
vafādār ho yā jafā-kār tum ho
jo kuchh ho so ho par mire yaar tum ho
ujāḌo mire dil ko yā phir basāo
mirī jaan is ghar ke muḳhtār tum ho
judā sab se ho aur sab se mile ho
ġharaz kyā kahūñ ek ayyār tum ho
ḳhudā jāniye dil pe kyā guzre āḳhir
ye ahl-e-vafā hai sitamgār tum ho
bane is tabī.at se kyūñkar kisī kī
zarā jī meñ munsif to dildār tum ho
ḳhafā hote haiñ ham to ḳhush hote ho tum
jo ḳhush hote ham haiñ to bezār tum ho
nahīñ be-sabab ye 'hasan' sard aa.heñ
kahīñ in dinoñ meñ giraftār tum ho
wafadar ho ya jafa-kar tum ho
jo kuchh ho so ho par mere yar tum ho
ujaDo mere dil ko ya phir basao
meri jaan is ghar ke muKHtar tum ho
juda sab se ho aur sab se mile ho
gharaz kya kahun ek ayyar tum ho
KHuda jaaniye dil pe kya guzre aaKHir
ye ahl-e-wafa hai sitamgar tum ho
bane is tabiat se kyunkar kisi ki
zara ji mein munsif to dildar tum ho
KHafa hote hain hum to KHush hote ho tum
jo KHush hote hum hain to bezar tum ho
nahin be-sabab ye 'hasan' sard aahen
kahin in dinon mein giraftar tum ho
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.