wafadari ka dawa kar rahe ho
vafādārī kā da.avā kar rahe ho
tū kyoñ duniyā kī parvā kar rahe ho
samajhte bhī ho ḳhvāboñ kī haqīqat
magar ḳhvāboñ kā pīchhā kar rahe ho
usī se tum jhagaḌte bhī ho har pal
usī kī hī tamanna kar rahe ho
ye tai samjho milegī kāmyābī
agar dil se irāda kar rahe ho
use tum dost bhī kahte ho 'qaisar'
usī ke saath dhoka kar rahe ho
wafadari ka dawa kar rahe ho
tu kyon duniya ki parwa kar rahe ho
samajhte bhi ho KHwabon ki haqiqat
magar KHwabon ka pichha kar rahe ho
usi se tum jhagaDte bhi ho har pal
usi ki hi tamanna kar rahe ho
ye tai samjho milegi kaamyabi
agar dil se irada kar rahe ho
use tum dost bhi kahte ho 'qaisar'
usi ke sath dhoka kar rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.