wafadariyan saKHt nadaniyan hain
vafādāriyāñ saḳht nādāniyāñ haiñ
ki in ke natīje pashemāniyāñ haiñ
pashemāniyāñ haiñ gunāhoñ pe lekin
baḌe hī maze kī pashemāniyāñ haiñ
mirī zindagī par ta.ajjub nahīñ thā
mirī maut par un ko hairāniyāñ haiñ
mohabbat karo aur nibāho to pūchhūñ
ye dushvāriyāñ haiñ ki āsāniyāñ haiñ
nadāmat huī hashr meñ jin ke badle
javānī kī do chaar nādāniyāñ haiñ
mirā tajraba hai ki is zindagī meñ
pareshāniyāñ hī pareshāniyāñ haiñ
wafadariyan saKHt nadaniyan hain
ki in ke natije pashemaniyan hain
pashemaniyan hain gunahon pe lekin
baDe hi maze ki pashemaniyan hain
meri zindagi par tajjub nahin tha
meri maut par un ko hairaniyan hain
mohabbat karo aur nibaho to puchhun
ye dushwariyan hain ki aasaniyan hain
nadamat hui hashr mein jin ke badle
jawani ki do chaar nadaniyan hain
mera tajraba hai ki is zindagi mein
pareshaniyan hi pareshaniyan hain
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 388)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.