wafaon ka jo dawa ho raha hai
vafāoñ kā jo da.avā ho rahā hai
batāo kyā tamāshā ho rahā hai
mujhe sachchī mohabbat kā gumāñ thā
yahāñ par bas dikhāvā ho rahā hai
hamīñ sikhlā rahe haiñ gur sabhī ko
hamīñ se phir chhalāvā ho rahā hai
raqīboñ par ināyat kar rahe ho
mire ġham kā mudāvā ho rahā hai
vo suntā hī nahīñ hai sher mere
hunar apnā ye zaa.e.a ho rahā hai
bahut ma.asūm ban kar pūchhte haiñ
tumheñ 'hamza' bhalā kyā ho rahā hai
wafaon ka jo dawa ho raha hai
batao kya tamasha ho raha hai
mujhe sachchi mohabbat ka guman tha
yahan par bas dikhawa ho raha hai
hamin sikhla rahe hain gur sabhi ko
hamin se phir chhalawa ho raha hai
raqibon par inayat kar rahe ho
mere gham ka mudawa ho raha hai
wo sunta hi nahin hai sher mere
hunar apna ye zaea ho raha hai
bahut masum ban kar puchhte hain
tumhein 'hamza' bhala kya ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.