wagarna raat thi gahri azal se
vagarna raat thī gahrī azal se
nikālā chāñd ko ham ne baġhal se
chale jis moḌ par ḳhud ko badalne
ga.e us moḌ par raste badal se
tumhārī raah meñ sūkhe guloñ ko
hathelī par liye baiThe haiñ kal se
ḳhudā to baa'd meñ aayā magar ham
tumhāre saath rahte haiñ azal se
bhale ab raah meñ kāñTe na hoñge
hamāre paañv nikleñge na shal se
wagarna raat thi gahri azal se
nikala chand ko hum ne baghal se
chale jis moD par KHud ko badalne
gae us moD par raste badal se
tumhaari rah mein sukhe gulon ko
hatheli par liye baiThe hain kal se
KHuda to ba'd mein aaya magar hum
tumhaare sath rahte hain azal se
bhale ab rah mein kanTe na honge
hamare panw niklenge na shal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.