wahan har aadmi chakra gaya hai
vahāñ har aadmī chakrā gayā hai
jahāñ se rāsta bal khā gayā hai
koī ik pal meñ ġhā.eb ho chukā hai
kisī ko der tak sochā gayā hai
kahīñ pur-shor āvāzoñ kā jañgal
kahīñ tā-dūr sannāTā gayā hai
ab itnā to havāoñ meñ na pheñko
kabhī patthar bhī vāpas aa gayā hai
hai zikr apnī hī shorīda-sarī kā
ki āḳhir aaj use ho kyā gayā hai
barahna thā mirī āñkhoñ meñ koī
paḌī apnī nazar sharmā gayā hai
wahan har aadmi chakra gaya hai
jahan se rasta bal kha gaya hai
koi ek pal mein ghaeb ho chuka hai
kisi ko der tak socha gaya hai
kahin pur-shor aawazon ka jangal
kahin ta-dur sannaTa gaya hai
ab itna to hawaon mein na phenko
kabhi patthar bhi wapas aa gaya hai
hai zikr apni hi shorida-sari ka
ki aaKHir aaj use ho kya gaya hai
barahna tha meri aankhon mein koi
paDi apni nazar sharma gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.