wahan main jaun magar kuchh mera bhala bhi to ho
vahāñ maiñ jā.ūñ magar kuchh mirā bhalā bhī to ho
vo phuul bāġh-e-badan meñ khilā huā bhī to ho
ḳhudā ko pūjne lag jā.ūñ chhoḌ kar but ko
butoñ ke jaise badan vaalā vo ḳhudā bhī to ho
maiñ masjidoñ ke kināre se lauT aatā huuñ
kahīñ savāb kā dariyā bahā huā bhī to ho
bahut miThās bhī be-zā.iqa sī hone lagī
vo ḳhush-mizāj kisī baat par ḳhafā bhī to ho
use mujhe hī uThā kar gale lagānā thā
ki us ke paañv koī aur yuuñ paḌā bhī to ho
wahan main jaun magar kuchh mera bhala bhi to ho
wo phul bagh-e-badan mein khila hua bhi to ho
KHuda ko pujne lag jaun chhoD kar but ko
buton ke jaise badan wala wo KHuda bhi to ho
main masjidon ke kinare se lauT aata hun
kahin sawab ka dariya baha hua bhi to ho
bahut miThas bhi be-zaiqa si hone lagi
wo KHush-mizaj kisi baat par KHafa bhi to ho
use mujhe hi uTha kar gale lagana tha
ki us ke panw koi aur yun paDa bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.