wahan paighambar jata kahan hai
vahāñ paiġhāmbar jaatā kahāñ hai
nahīñ ma.alūm mar jaatā kahāñ hai
tum apne haath se jis ko pilā do
vo apne aap ghar jaatā kahāñ hai
idhar to dekh o putle hayā ke
kiye nīchī nazar jaatā kahāñ hai
vo kyuuñ mujh ko manā.eñ jānte haiñ
chalā to hai magar jaatā kahāñ hai
kahāñ haiñ bā-ḳhabar dair-o-haram meñ
are o be-ḳhabar jaatā kahāñ hai
udhar masjid idhar mai-ḳhāna ai shaiḳh
idhar aa kar udhar jaatā kahāñ hai
kahā us ne hamārā ḳhat chhupā kar
jo aatā to kidhar jaatā kahāñ hai
wahan paighambar jata kahan hai
nahin malum mar jata kahan hai
tum apne hath se jis ko pila do
wo apne aap ghar jata kahan hai
idhar to dekh o putle haya ke
kiye nichi nazar jata kahan hai
wo kyun mujh ko manaen jaante hain
chala to hai magar jata kahan hai
kahan hain ba-KHabar dair-o-haram mein
are o be-KHabar jata kahan hai
udhar masjid idhar mai-KHana ai shaiKH
idhar aa kar udhar jata kahan hai
kaha us ne hamara KHat chhupa kar
jo aata to kidhar jata kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.