Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

Saqi Faruqi

wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    vahī āñkhoñ meñ aur āñkhoñ se poshīda bhī rahtā hai

    mirī yādoñ meñ ik bhūlā huā chehrā bhī rahtā hai

    jab us sard-mehrī dekhtā huuñ bujhne lagtā huuñ

    mujhe apnī adākārī andāza bhī rahtā hai

    maiñ un se bhī milā kartā huuñ jin se dil nahīñ miltā

    magar ḳhud se bichhaḌ jaane andesha bhī rahtā hai

    jo mumkin ho to pur-asrār duniyāoñ meñ dāḳhil ho

    ki har dīvār meñ ik chor darvāza bhī rahtā hai

    bas apnī bebasī sātvīñ manzil meñ zinda huuñ

    yahāñ par aag bhī rahtī hai aur nauha bhī rahtā hai

    wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

    meri yaadon mein ek bhula hua chehra bhi rahta hai

    jab us ki sard-mehri dekhta hun bujhne lagta hun

    mujhe apni adakari ka andaza bhi rahta hai

    main un se bhi mila karta hun jin se dil nahin milta

    magar KHud se bichhaD jaane ka andesha bhi rahta hai

    jo mumkin ho to pur-asrar duniyaon mein daKHil ho

    ki har diwar mein ek chor darwaza bhi rahta hai

    bas apni bebasi ki satwin manzil mein zinda hun

    yahan par aag bhi rahti hai aur nauha bhi rahta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now