wahi andaz purane nahin jiddat koi
vahī andāz purāne nahīñ jiddat koī
nayā lahja nahīñ ab zer-e-samā.at koī
lai na.ī aur nayā āhang uThā naġhma-tarāz
jaag uThe ḳhufta lahū meñ na.ī hiddat koī
jhuuT par laakh mulamma.a ho sadāqat malfūf
khul hī jaatī hai nahīñ chhuptī haqīqat koī
kis liye ḳhaar hai khoī huī ġhairat ko jagā
giḌgiḌāne se nahīñ miltī hai 'izzat koī
laakh kar va.ada-ḳhilāfī-o-taġhāful ai dost
dil se kam honī nahīñ terī mohabbat koī
mujh ko baḳhshā hai mire rab ne ye ejāz-e-suḳhan
maiñ ne bātil kī nahīñ karnī himāyat koī
rustagārī hai kise ranj-o-alam se 'mīnā'
arsa-e-jehd hai yaaro nahīñ jannat koī
wahi andaz purane nahin jiddat koi
naya lahja nahin ab zer-e-samaat koi
lai nai aur naya aahang uTha naghma-taraaz
jag uThe KHufta lahu mein nai hiddat koi
jhuT par lakh mulamma ho sadaqat malfuf
khul hi jati hai nahin chhupti haqiqat koi
kis liye KHar hai khoi hui ghairat ko jaga
giDgiDane se nahin milti hai 'izzat koi
lakh kar wada-KHilafi-o-taghaful ai dost
dil se kam honi nahin teri mohabbat koi
mujh ko baKHsha hai mere rab ne ye ejaz-e-suKHan
main ne baatil ki nahin karni himayat koi
rustagari hai kise ranj-o-alam se 'mina'
arsa-e-jehd hai yaro nahin jannat koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.