wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi
vahī be-bākī-e-ushshāq hai darkār ab bhī
hai vahī silsila-e-ātash-o-gulzār ab bhī
ab bhī maujūd hai vo bai.at-e-fāsiq kā savāl
aur matlūb hai vo jur.at-e-inkār ab bhī
haiñ kahāñ ishq meñ ghar-bār luTāne vaale
ḳhū-e-īsār se maġhlūb haiñ ansār ab bhī
koī yūsuf to zamāna kare paidā 'ajmal'
nazar aa saktī hai vo garmi-e-bāzār ab bhī
wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi
hai wahi silsila-e-atash-o-gulzar ab bhi
ab bhi maujud hai wo baiat-e-fasiq ka sawal
aur matlub hai wo jurat-e-inkar ab bhi
hain kahan ishq mein ghar-bar luTane wale
KHu-e-isar se maghlub hain ansar ab bhi
koi yusuf to zamana kare paida 'ajmal'
nazar aa sakti hai wo garmi-e-bazar ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.