Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai

Haidar Ali Aatish

wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    vahī chitvan ḳhūñ-ḳhvārī jo aage thī so ab bhī hai

    tirī āñkhoñ bīmārī jo aage thī so ab bhī hai

    vahī nashv-o-numā-e-sabza hai gor-e-ġharībāñ par

    havā-e-charḳh-e-zañgārī jo aage thī so ab bhī hai

    ta.alluq hai vahī tā-hāl un zulfoñ ke saude se

    salāsil giraftārī jo aage thī so ab bhī hai

    vahī sar paTaknā hai vahī ronā hai din bhar

    vahī rātoñ bedārī jo aage thī so ab bhī hai

    rivāj-e-ishq ke aa.iiñ vahī haiñ kishvar-e-dil meñ

    rah-o-rasm-e-vafā jaarī jo aage thī so ab bhī hai

    vahī jalānā hai pakānā hai vahī dil

    vo us garm-bāzārī jo aage thī so ab bhī hai

    niyāz-e-ḳhādimāna hai vahī fazl-e-ilāhī se

    butoñ nāz-bardārī jo aage thī so ab bhī hai

    firāq-e-yār meñ jis tarah se martā thā martā huuñ

    vo ruuh o tan be-zārī jo aage thī so ab bhī hai

    vahī saudā-e-kākul hai aalam jo ki sābiq thā

    ye shab bīmār par bhārī jo aage thī so ab bhī hai

    junūñ garm-joshī hai vahī dīvānoñ se apnī

    vahī dāġhoñ gul-kārī jo aage thī so ab bhī hai

    vahī bāzār-e-garmī hai mohabbat hanūz 'ātish'

    vo yūsuf ḳharīdārī jo aage thī so ab bhī hai

    wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai

    teri aankhon ki bimari jo aage thi so ab bhi hai

    wahi nashw-o-numa-e-sabza hai gor-e-ghariban par

    hawa-e-charKH-e-zangari jo aage thi so ab bhi hai

    talluq hai wahi ta-haal un zulfon ke saude se

    salasil ki giraftari jo aage thi so ab bhi hai

    wahi sar ka paTakna hai wahi rona hai din bhar ka

    wahi raaton ki bedari jo aage thi so ab bhi hai

    riwaj-e-ishq ke aain wahi hain kishwar-e-dil mein

    rah-o-rasm-e-wafa jari jo aage thi so ab bhi hai

    wahi ji ka jalana hai pakana hai wahi dil ka

    wo us ki garm-bazari jo aage thi so ab bhi hai

    niyaz-e-KHadimana hai wahi fazl-e-ilahi se

    buton ki naz-bardari jo aage thi so ab bhi hai

    firaq-e-yar mein jis tarah se marta tha marta hun

    wo ruh o tan ki be-zari jo aage thi so ab bhi hai

    wahi sauda-e-kakul ka hai aalam jo ki sabiq tha

    ye shab bimar par bhaari jo aage thi so ab bhi hai

    junun ki garm-joshi hai wahi diwanon se apni

    wahi daghon ki gul-kari jo aage thi so ab bhi hai

    wahi bazar-e-garmi hai mohabbat ki hanuz 'atish'

    wo yusuf ki KHaridari jo aage thi so ab bhi hai

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now