Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein

Abbas Dana

wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein

Abbas Dana

MORE BYAbbas Dana

    vahī dard hai vahī bebasī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    be-ġhamoñ bhiiḌ meñ aadmī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    yahāñ har qadam pe savāl hai vahāñ har qadam pe malāl hai

    baḌī uljhanoñ meñ hai zindagī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    kise dost apnā banā.eñ ham kise dil haal sunā.eñ ham

    sabhī ġhair haiñ sabhī ajnabī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    haiñ sabhī apnī zarūrateñ koī kaise bāñTe mohabbateñ

    na ḳhulūs hai na hai dostī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    na vo husn hai na hijāb hai na vo ishq meñ tab-o-tāb hai

    na vo ābrū-e-vafā rahī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    maiñ ilāj-e-ġham bhī na kar sakā tirā jaam to bhī na bhar sakā

    hai har ek moḌ pe tishnagī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    ye hasad jahāñ nazar meñ hai ġham-e-'dānā' un ke jigar meñ hai

    hai sabhī ko pyaar se dushmanī tire gaañv meñ mire shahr meñ

    wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein

    be-ghamon ki bhiD mein aadmi tere ganw mein mere shahr mein

    yahan har qadam pe sawal hai wahan har qadam pe malal hai

    baDi uljhanon mein hai zindagi tere ganw mein mere shahr mein

    kise dost apna banaen hum kise dil ka haal sunaen hum

    sabhi ghair hain sabhi ajnabi tere ganw mein mere shahr mein

    hain sabhi ki apni zaruraten koi kaise banTe mohabbaten

    na KHulus hai na hai dosti tere ganw mein mere shahr mein

    na wo husn hai na hijab hai na wo ishq mein tab-o-tab hai

    na wo aabru-e-wafa rahi tere ganw mein mere shahr mein

    main ilaj-e-gham bhi na kar saka tera jam to bhi na bhar saka

    hai har ek moD pe tishnagi tere ganw mein mere shahr mein

    ye hasad jahan ki nazar mein hai gham-e-'dana' un ke jigar mein hai

    hai sabhi ko pyar se dushmani tere ganw mein mere shahr mein

    Source :
    • Book : Fanoos (Pg. 94)
    • Author : Abbas Dana
    • Publication : Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now