wahi duniya wahi sab pahle jaisa
vahī duniyā vahī sab pahle jaisā
magar maiñ huuñ na vo ab pahle jaisā
maiñ us ko bhūltā hī jā rahā huuñ
banā de mujh ko yārab pahle jaisā
mujhe is haal tak pahuñchāne vaalā
rahā hai aap bhī kab pahle jaisā
tumhāre baa'd kuchh badlā nahīñ hai
vahī maiñ huuñ vahī sab pahle jaisā
wahi duniya wahi sab pahle jaisa
magar main hun na wo ab pahle jaisa
main us ko bhulta hi ja raha hun
bana de mujh ko yarab pahle jaisa
mujhe is haal tak pahunchane wala
raha hai aap bhi kab pahle jaisa
tumhaare ba'd kuchh badla nahin hai
wahi main hun wahi sab pahle jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.