wahi gham hai wahi iza risani
vahī ġham hai vahī iizā risānī
agarche ab nahīñ āñkhoñ meñ paanī
jo bāzārī haiñ hākim ban ga.e haiñ
vo haiñ mahkūm jo haiñ ḳhāndānī
kabhī aisā karo kuchh kar dikhāo
kahāñ tak aur kab tak lan-tarānī
dikhā.egā miyāñ āñkheñ zamāna
agar qaa.em rahegī be-zabānī
sahārā do jahāñ meñ bekasoñ ko
purānī ho ga.ī hai ye kahānī
mohabbat par hai aalam jāñ-kanī kā
adāvat meñ hai bijlī sī ravānī
wahi gham hai wahi iza risani
agarche ab nahin aankhon mein pani
jo bazari hain hakim ban gae hain
wo hain mahkum jo hain KHandani
kabhi aisa karo kuchh kar dikhao
kahan tak aur kab tak lan-tarani
dikhaega miyan aankhen zamana
agar qaem rahegi be-zabani
sahaara do jahan mein bekason ko
purani ho gai hai ye kahani
mohabbat par hai aalam jaan-kani ka
adawat mein hai bijli si rawani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.