wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha
wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah
vahī gumāñ hai jo us mehrbāñ se pahle thā
vahīñ se phir ye safar hai jahāñ se pahle thā
hai is nigah kā karishma ki mere dil kā hunar
maiñ us ke ġham kā shanāsā bayāñ se pahle thā
vo ek lamha mujhe kyuuñ satā rahā hai ki jo
nahīñ ke ba.ad magar us kī haañ se pahle thā
maiñ ḳhush huuñ ham-safaroñ ne ki mujh se chhīn liyā
ġhurūr-e-rahravī jo kārvāñ se pahle thā
vahī in āñkhoñ ne dekhā jo dekhnā thā inheñ
maiñ ḳhush-gumāñ karam-e-dostāñ se pahle thā
fuġhāñ ki toḌ sakā maiñ na be-kasī kā tilism
mirā nasīb mirī dāstāñ se pahle thā
wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha
wahin se phir ye safar hai jahan se pahle tha
hai is nigah ka karishma ki mere dil ka hunar
main us ke gham ka shanasa bayan se pahle tha
wo ek lamha mujhe kyun sata raha hai ki jo
nahin ke baad magar us ki han se pahle tha
main KHush hun ham-safaron ne ki mujh se chhin liya
ghurur-e-rahrawi jo karwan se pahle tha
wahi in aankhon ne dekha jo dekhna tha inhen
main KHush-guman karam-e-dostan se pahle tha
fughan ki toD saka main na be-kasi ka tilism
mera nasib meri dastan se pahle tha
- Sukhan Mere Tumhare Darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.