Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi haalat hain faqiron ke

Habib Jalib

wahi haalat hain faqiron ke

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    vahī hālāt haiñ faqīroñ ke

    din phire haiñ faqat vazīroñ ke

    apnā halqa hai halqa-e-zanjīr

    aur halqe haiñ sab amīroñ ke

    har bilāval hai des maqrūz

    paañv nañge haiñ benazīroñ ke

    vahī ahl-e-vafā sūrat-e-hāl

    vaare nyāre haiñ be-zamīroñ ke

    sāzisheñ haiñ vahī ḳhilāf-e-avām

    mashvare haiñ vahī mushīroñ ke

    beḌiyāñ sāmrāj haiñ vahī

    vahī din-rāt haiñ asīroñ ke

    wahi haalat hain faqiron ke

    din phire hain faqat waziron ke

    apna halqa hai halqa-e-zanjir

    aur halqe hain sab amiron ke

    har bilawal hai des ka maqruz

    panw nange hain benaziron ke

    wahi ahl-e-wafa ki surat-e-haal

    ware nyare hain be-zamiron ke

    sazishen hain wahi KHilaf-e-awam

    mashware hain wahi mushiron ke

    beDiyan samraj ki hain wahi

    wahi din-raat hain asiron ke

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Jalib

    Habib Jalib

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now