wahi hai rang-e-tabiat wahi KHisal mere
vahī hai rang-e-tabī.at vahī ḳhisāl mire
taġhayyuroñ ke nishāñ haiñ safed baal mire
qadam qadam pe luTā.ī hai kā.enāt-e-hayāt
dayār-o-dasht meñ bikhre haiñ māh-o-sāl mire
milūñ na maiñ to mirā gulshan-e-nasab dekheñ
mirī shabīh kā partav haiñ naunihāl mire
na.ī fazā kā taqāzā ki maiñ panap na sakūñ
akaas bel se rut ne bune haiñ jaal mire
inhīñ ke naam se pahchān hai mire fan kī
mirā vaqār haiñ yārān-e-bā-kamāl mire
milā bhī izn-e-takallum to kuchh kahā na gayā
sukūt-e-lab meñ muqaffal rahe savāl mire
maiñ ik musāfir-e-mauj-e-sarāb huuñ 'rāsiḳh'
kiye haiñ masḳh bagūloñ ne ḳhadd-o-ḳhāl mire
wahi hai rang-e-tabiat wahi KHisal mere
taghayyuron ke nishan hain safed baal mere
qadam qadam pe luTai hai kaenat-e-hayat
dayar-o-dasht mein bikhre hain mah-o-sal mere
milun na main to mera gulshan-e-nasab dekhen
meri shabih ka partaw hain naunihaal mere
nai faza ka taqaza ki main panap na sakun
akas bel se rut ne bune hain jal mere
inhin ke nam se pahchan hai mere fan ki
mera waqar hain yaran-e-ba-kamal mere
mila bhi izn-e-takallum to kuchh kaha na gaya
sukut-e-lab mein muqaffal rahe sawal mere
main ek musafir-e-mauj-e-sarab hun 'rasiKH'
kiye hain masKH bagulon ne KHadd-o-KHal mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.