wahi hain apni raaton ki kathaen
vahī haiñ apnī rātoñ kī kathā.eñ
firāq-e-yār ḳhvāb-āvar davā.eñ
vahī andar tamavvuj āñdhiyoñ kā
vahī bāhar havā kī saa.eñ saa.eñ
yahāñ hai kaun aisā aane vaalā
ki ham kamra salīqe se sajā.eñ
koī in rat-jagoñ kī had bhī hogī
darīchoñ meñ diye kab tak jalā.eñ
kahāñ tak saath chal saktā hai koī
kahāñ tak saath deñgī ye duā.eñ
sulag uThtā hai yuuñ be-sāḳhta dil
chamak uThtī haiñ bāhar kī fazā.eñ
wahi hain apni raaton ki kathaen
firaq-e-yar KHwab-awar dawaen
wahi andar tamawwuj aandhiyon ka
wahi bahar hawa ki saen saen
yahan hai kaun aisa aane wala
ki hum kamra saliqe se sajaen
koi in rat-jagon ki had bhi hogi
darichon mein diye kab tak jalaen
kahan tak sath chal sakta hai koi
kahan tak sath dengi ye duaen
sulag uThta hai yun be-saKHta dil
chamak uThti hain bahar ki fazaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.