wahi hain koi surat in mein begani nahin milti
vahī haiñ koī sūrat in meñ begānī nahīñ miltī
vo chehre aah jin chehroñ pe tābānī nahīñ miltī
ajab duniyā hai is meñ ḳhū-e-insānī nahīñ miltī
ki sīdhe muñh kisī se bhī ye dīvānī nahīñ miltī
luTāyā jis ne hastī ko zamāne ke tabassum par
usī dil ke liye ashkoñ kī qurbānī nahīñ miltī
kabhī tuġhyānī-e-paiham ho to aañsū nahīñ bahte
kabhī bahte hue ashkoñ meñ tuġhyānī nahīñ miltī
tajallī-ḳhāna-e-husn-e-do-ālam 'shauq' kā dil hai
yahī vo aa.ina hai jis meñ hairānī nahīñ miltī
wahi hain koi surat in mein begani nahin milti
wo chehre aah jin chehron pe tabani nahin milti
ajab duniya hai is mein KHu-e-insani nahin milti
ki sidhe munh kisi se bhi ye diwani nahin milti
luTaya jis ne hasti ko zamane ke tabassum par
usi dil ke liye ashkon ki qurbani nahin milti
kabhi tughyani-e-paiham ho to aansu nahin bahte
kabhi bahte hue ashkon mein tughyani nahin milti
tajalli-KHana-e-husn-e-do-alam 'shauq' ka dil hai
yahi wo aaina hai jis mein hairani nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.