wahi hum hain wahi lachaariyan hain
vahī ham haiñ vahī lāchāriyāñ haiñ
vahī yāroñ kī duniyā-dāriyāñ haiñ
vo sūkhī aañkh se ronā bilaknā
azā-dārī meñ bhī fan-kāriyāñ haiñ
kahāñ tak tum 'ilāj is kā karoge
ki is dil ko ka.ī bīmāriyāñ haiñ
nasīb apnā likhā hai āsmāñ par
zamīñ par sirf zimmedāriyāñ haiñ
sabā sargoshiyoñ meñ kah rahī hai
yahāñ se kuuch kī tayyāriyāñ haiñ
nahīñ kuchh farq gul-rut ho yā patjhaḌ
tabī'at kī judā gulkāriyāñ haiñ
jigar patthar kā rakhtā hai suḳhanvar
chaTānoñ sī yahāñ tah-dāriyāñ haiñ
matā-e-ġham chhupā.eñ kyoñ na 'afsar'
sharīfoñ kī yahī zar-dāriyāñ haiñ
wahi hum hain wahi lachaariyan hain
wahi yaron ki duniya-dariyan hain
wo sukhi aankh se rona bilakna
aza-dari mein bhi fan-kariyan hain
kahan tak tum 'ilaj is ka karoge
ki is dil ko kai bimariyan hain
nasib apna likha hai aasman par
zamin par sirf zimmedariyan hain
saba sargoshiyon mein kah rahi hai
yahan se kuch ki tayyariyan hain
nahin kuchh farq gul-rut ho ya patjhaD
tabi'at ki juda gulkariyan hain
jigar patthar ka rakhta hai suKHanwar
chaTanon si yahan tah-dariyan hain
mata-e-gham chhupaen kyon na 'afsar'
sharifon ki yahi zar-dariyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.