wahi ho ilm bhi wo hi suKHan to baat bane
wahi ho ilm bhi wo hi suKHan to baat bane
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
vahī ho 'ilm bhī vo hī suḳhan to baat bane
ġhazal kā bhī vahī ho pairahan to baat bane
faqat hai ek pareshāñ to phir ye 'ishq nahīñ
jabīñ pe donoñ kī aa.e shikan to baat bane
hamārī ruuh ko phir bhī badan milā hai magar
badan ko bhī mile koī badan to baat bane
ham us kī āñkhoñ se iqrār tak pahuñch ga.e haiñ
zarā sā paḌhne ko mil jaa.e man to baat bane
bhaTakte rahne se is dil ke haq meñ kyā hogā
kisī ke 'ishq meñ ho jā magan to baat bane
maiñ tere ḳhvāb ko pahne hue huuñ āñkhoñ meñ
tū merī aañkh meñ nīñdeñ pahan to baat bane
agarche jism ko thoḌī thakan sī hai lekin
hamārī āñkhoñ pe chhā.e thakan to baat bane
wahi ho 'ilm bhi wo hi suKHan to baat bane
ghazal ka bhi wahi ho pairahan to baat bane
faqat hai ek pareshan to phir ye 'ishq nahin
jabin pe donon ki aae shikan to baat bane
hamari ruh ko phir bhi badan mila hai magar
badan ko bhi mile koi badan to baat bane
hum us ki aankhon se iqrar tak pahunch gae hain
zara sa paDhne ko mil jae man to baat bane
bhaTakte rahne se is dil ke haq mein kya hoga
kisi ke 'ishq mein ho ja magan to baat bane
main tere KHwab ko pahne hue hun aankhon mein
tu meri aankh mein ninden pahan to baat bane
agarche jism ko thoDi thakan si hai lekin
hamari aankhon pe chhae thakan to baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.