wahi ek baat jo aai gai hai
vahī ik baat jo aa.ī ga.ī hai
bahut taklīf pahuñchā.ī ga.ī hai
nazar ab bhī hai mahrūm-e-nazārā
magar tasvīr dikhlā.ī ga.ī hai
to kyā duniyā yahāñ pahle nahīñ thī
to kyā duniyā yahāñ laa.ī ga.ī hai
ham aise shakl hī paate na hoñge
tabhī to ḳhaak pahnā.ī ga.ī hai
zarūrī to nahīñ vo baat sach ho
hameñ jo baat pahuñchā.ī ga.ī hai
wahi ek baat jo aai gai hai
bahut taklif pahunchai gai hai
nazar ab bhi hai mahrum-e-nazara
magar taswir dikhlai gai hai
to kya duniya yahan pahle nahin thi
to kya duniya yahan lai gai hai
hum aise shakl hi pate na honge
tabhi to KHak pahnai gai hai
zaruri to nahin wo baat sach ho
hamein jo baat pahunchai gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.