Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath

Aziz Nabeel

wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    vahī jo rishta hai kashtī sat.h-e-āb ke saath

    vahī hai merā ta.alluq bhī apne ḳhvāb ke saath

    yahīñ kahīñ to chamaktī thī ik tilismī jhiil

    yahīñ kahīñ to maiñ Duubā thā apne ḳhvāb ke saath

    chhalak rahī thī kisī intizār chhāgal

    bhaTak rahī thī kahīñ pyaas iztirāb ke saath

    ulajh rahī thī musalsal savāl luknat

    mukālima na koī ho sakā javāb ke saath

    har ek harf sitāra har ek lafz charāġh

    maiñ nuur nuur huā raat kitāb ke saath

    ye kis ke lams bārish meñ rang rang huuñ maiñ

    ye kaun mujh se guzartā hai āb-o-tāb ke saath

    sañbhal ke chalnā ye ta.abīr saḌak hai miyāñ

    bañdhī huī ka.ī āñkheñ haiñ ek ḳhvāb ke saath

    maiñ ret hone vaalā thā jab ‘azīz-nabīl'

    umīd-e-āb dhaḌakne lagī sarāb ke saath

    wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath

    wahi hai mera talluq bhi apne KHwab ke sath

    yahin kahin to chamakti thi ek tilismi jhil

    yahin kahin to main Duba tha apne KHwab ke sath

    chhalak rahi thi kisi intizar ki chhagal

    bhaTak rahi thi kahin pyas iztirab ke sath

    ulajh rahi thi musalsal sawal ki luknat

    mukalima na koi ho saka jawab ke sath

    har ek harf sitara har ek lafz charagh

    main nur nur hua raat ki kitab ke sath

    ye kis ke lams ki barish mein rang rang hun main

    ye kaun mujh se guzarta hai aab-o-tab ke sath

    sanbhal ke chalna ye tabir ki saDak hai miyan

    bandhi hui kai aankhen hain ek KHwab ke sath

    main ret hone hi wala tha jab ‘aziz-nabil'

    umid-e-ab dhaDakne lagi sarab ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now