wahi main hun wahi Khaali makan hai
vahī maiñ huuñ vahī ḳhālī makāñ hai
mire kamre meñ puurā āsmāñ hai
dayār-e-ḳhvāb o chashm-e-dil-figārāñ
jazīra niiñd kā kyuuñ darmiyāñ hai
sukūt-e-marg taarī har shajar par
ye kaisā mausam-e-teġh-o-sināñ hai
chaman afsurda gul murjhā ga.e haiñ
ḳhizāñ kī zad pe saarā gulsitāñ hai
bhulā dī aap ne bhī vo kahānī
mohabbat jis ke dam se jāvedāñ hai
wahi main hun wahi KHali makan hai
mere kamre mein pura aasman hai
dayar-e-KHwab o chashm-e-dil-figaran
jazira nind ka kyun darmiyan hai
sukut-e-marg tari har shajar par
ye kaisa mausam-e-tegh-o-sinan hai
chaman afsurda gul murjha gae hain
KHizan ki zad pe sara gulsitan hai
bhula di aap ne bhi wo kahani
mohabbat jis ke dam se jawedan hai
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 44)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.