wahi maqam jahan gum hui thi zat meri
vahī maqām jahāñ gum huī thī zaat mirī
usī maqām se ubhregī kā.enāt mirī
kisī ke shauq-e-safar ne mujhe muqīm kiyā
Thahar Thahar ke guzarne lagī hai raat mirī
urūs-e-fikr kī doshīzgī salāmat hai
hazār baar suhāgan huī hayāt mirī
zamāna ziist ke unvāñ badal chukā lekin
har ek baat se niklī vahāñ bhī baat mirī
falak se TuuT ke jab bhī zamīñ pe aa.e haiñ
raqam kiyā hai sitāroñ ne vārdāt mirī
tumhāre naam se sar pe sajā liyā jis ko
simaT ga.ī usī āñchal meñ kā.enāt mirī
wahi maqam jahan gum hui thi zat meri
usi maqam se ubhregi kaenat meri
kisi ke shauq-e-safar ne mujhe muqim kiya
Thahar Thahar ke guzarne lagi hai raat meri
urus-e-fikr ki doshizgi salamat hai
hazar bar suhagan hui hayat meri
zamana zist ke unwan badal chuka lekin
har ek baat se nikli wahan bhi baat meri
falak se TuT ke jab bhi zamin pe aae hain
raqam kiya hai sitaron ne wardat meri
tumhaare nam se sar pe saja liya jis ko
simaT gai usi aanchal mein kaenat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.